Hum soch baithe ki bhool gaye wo nishaniyan
Wo khamosh bhi rahe to dastaan si suna gaye
Hum intazaar mein rahe ki aaj Faisla ho hi Jana tha
Wo Faisla bhi sunae to dilasa sa de gaye
Khusboo aakhir phool se juda kaise rahe
Wo dard-e-jashn ka nazara jo dikha gaye
Un khayalon k Saath jeena manzoor tha kyonki
Wo vida bhi hue to Sahara sa de gaye
Hosh mein na Dikha jo dekha aaj madhoshi me
Wo kinare bhi rahe aur kinara bhi de gaye