Tum ho bhi tum nahi bhi
Tum galat bhi tum sahin bhi
Tum Manzil bhi tum raasta bhi
Tum dard bhi tum daastaan bhi
Tum ugte sooraj ki roshni bhi
Tum dhalti shaam ka Sitaara bhi
Tum pehli subah ki oas bhi
Tum haseen sapno ka nazaara bhi
Tum Dard bhi tum sahaara bhi
Tum leher bhi tum kinaara bhi
Tum jhooth bhi tum sach bhi
Tum khushi bhi tum gamm bhi
Tum dhokha bhi tum wafa bhi
Tum dua bhi tum saza bhi
Tum yaad bhi fariyaad bhi
Tum juda bhi tum saath bhi
Tum ikraar bhi inkaar bhi
Tum nafrat bhi tum pyaar bhi
Tum jeet bhi tum Haar bhi
Tum is Jeevan ka Saar bhi