Tuesday, December 26, 2017
Paintings calm the chaos that shake my Soul
Friday, December 22, 2017
Thursday, December 14, 2017
Wajah Diye Ja..
Ki ehsaan bhi ehasaan farahmosh ho gaye hain
Zubaan bhi hoti hai inki, ye kise maloom tha
Hum to jaise apne hi dil mein mehmaan se ho gaye hain
Sukoon to uske aagosh mein bhi mil sakta tha
Par wo hamari khamoshi ko inkaar samajhne lage
Par ab hum unke inkaar ko wajah si dene lage hain
Ittefaq ki baat hai ki rukh badal gaya hawaon ka
Saturday, December 9, 2017
Hazaron Khwayishen Aisi...
Intazaar karte hue lamhe beet gaye
Hazaron Khwaishen aisi jinse ab vasta na raha
Yun to Kai kirdaar nibhaye hain zindagi ke chalte
Haan par kuch aise bhi hain jahan ab diye nahi jalte
Khushiyon ko awaaz laga k dekh liya kya naseeb hai
Ab zara dard ko pukaar k dekhen wo kitne kareeb hain
Ye hamari nawaazish hai ki hum ab nahi pukarte us khuda ko
Ki ab unse waabaastaa hi nahi jo aapke liye tabeeb hain
Suna hai aap maahir hain diye bujhane mein
To ab Bekafan hi dafna dena, kyunki
Kuch giley aise hain jinki ab shikayat hi nahi
Bas Isliye hame ab taaboot ki zarurat bhi nahi
Apne aks ko dekhkar itna andaaza lagana to seekh hi liya hai
Saath ki zaroorat to har shaks ko hoti hai
Itni khudgarz bhi nahi meri tanhaayi
Ki mile bagair hi faisala suna de
Kuch arzoo hamne akhiraat ke liye chod diye
Ki kuch ehmiyyat to hogi hamare saath ki
Aasaan to nahi tha par aasaar zaroor mile the
Ye mehez jazbaat to nahi ho sakte
Koi to wajah hogi hamari mulaqat ki
Fanaa Hoon...
Ye dard hai kahan kahan jo dawa doon
Samjh lo to Pyaar karne ki raza hoon
Na samjho to dard sehne ki saza hoon
Pi lo to aankhon ka Nasha hoon
Ji lo to jeene ki wajah hoon
Haan ab Tumse mil kar bhi Juda hoon
Aur ab is baat par khud se hi Khafa hoon
Khush reh kar bhi gamon ka silsila hoon
Dard ji kar bhi khushiyon ka raabta hoon
Maan lo to bas quatra ho
Jaan lo to zindagi ka aashna hoon
Shabnam ki oas me lipta qahr hoon
Qainaat me jo na ghul paye wo zehr hoon
Teri khamoshi kehti h tera kasoor hoon
Jo alfaaz me na bayaan ho wo fitoor hoon
Aagaaz ko na dekh, ab to har pal anjaam hoon
Aaj Ishq mein tere kuch is tarah fanaa hoon
Wednesday, December 6, 2017
Married for 39 years, Together for lives
Our very 1st date we lied at home, With you on my side I felt it was Rome
The good times we lived the bad times we killed, We rocked our life, with happiness filled
We held each other tight in sad and glad times, we always were willing to be partner in crimes
We stood the test of time, we walked the narrow road
At the end of every day its you i want to hold
Monday, August 28, 2017
Songs of the Heart
Monday, August 21, 2017
Confessions of Soul
Wednesday, May 17, 2017
My journey with myself
Make a Wish with the Moon
-----------------------------------------------------------
Thoughts have no limits
Living the Night - By Rose
Abstract
Hold me tight
Ready to blow your mind
Fall is a second Spring when every leaf is a flower
Let this be forever...
Tuesday, April 11, 2017
Saturday, March 18, 2017
Afsaana-e-hastii
Aisi aashiqi thi ki tanhayi bhi ro de J uda ho kar judaayi bhi ro de Jahan aalam tha aagaaz-e-ulfat ka Wahan barbaad ho kar khud...
-
Do what you feel in your heart to be right, for you will be criticized anyway. ...
-
How does it feel to see your Dreams on Fire? Not really good..huh... So I finally took a mini giant step and thought to give some time to ...
-
We know we love we know we fight. We make it up, we make it alright We met as strangers from two different worlds, We invented the recip...
































