Tuesday, December 26, 2017

Paintings calm the chaos that shake my Soul


THE LAST JOURNEY
------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


PEACE UNDERNEATH
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


OCEAN OF DREAMS
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


THE LOST REALITY





Thursday, December 14, 2017

Wajah Diye Ja..

Ab khud pe bhi ehasaan nahi karte hum
Ki ehsaan bhi ehasaan farahmosh ho gaye hain
Zubaan bhi hoti hai inki, ye kise maloom tha
Hum to jaise apne hi dil mein mehmaan se ho gaye hain

Sukoon to uske aagosh mein bhi mil sakta tha
Par wo hamari khamoshi ko inkaar samajhne lage
Ye zaruri to nahi ki hum maut ki duaa maangte
Par ab hum unke inkaar ko wajah si dene lage hain

Nasha ho bhi aur nahi bhi ye mumkin to nahi
Par aapki wafa ka bhi lihaaz rakhna tha
Itni guzaarish thi ki ab koi ehsaan na reh jaye
Aakhir apni khwaishon ka khayal bhi to rakhna tha

Khayal aa hi gaya wafaon ka, Jawaab de hi diya duaaon ne
Apni nazron mein gunehgaar na ban jayen
Par ab unki nazron me bhi izzat kama li thi
Par ye bhi kabhi hua hai
Ki do gaam chalen manzil k liye aur manzil aa jaye?

Ittefaq ki baat hai ki rukh badal gaya hawaon ka
To mere dil guzre ka gamm na kiye ja
Ye kasoor to tha kambakht wafaon ka 
Ab to bas gumraah kar k jeene ki wajah diye ja

Saturday, December 9, 2017

Hazaron Khwayishen Aisi...

Intazaar karte hue lamhe beet gaye
Hazaron Khwaishen aisi jinse ab vasta na raha
Yun to Kai kirdaar nibhaye hain zindagi ke chalte
Haan par kuch aise bhi hain jahan ab diye nahi jalte

Khushiyon ko awaaz laga k dekh liya kya naseeb hai
Ab zara dard ko pukaar k dekhen wo kitne kareeb hain
Ye hamari nawaazish hai ki hum ab nahi pukarte us khuda ko
Ki ab unse waabaastaa hi nahi jo aapke liye tabeeb hain

Suna hai aap maahir hain diye bujhane mein
To ab Bekafan hi dafna dena, kyunki
Kuch giley aise hain jinki ab shikayat hi nahi
Bas Isliye hame ab taaboot ki zarurat bhi nahi

Apne aks ko dekhkar itna andaaza lagana to seekh hi liya hai
Saath ki zaroorat to har shaks ko hoti hai
Itni khudgarz bhi nahi meri tanhaayi
Ki mile bagair hi faisala suna de

Kuch arzoo hamne akhiraat ke liye chod diye
Ki kuch ehmiyyat to hogi hamare saath ki
Aasaan to nahi tha par aasaar zaroor mile the
Ye mehez jazbaat to nahi ho sakte
Koi to wajah hogi hamari mulaqat ki

Fanaa Hoon...

Tumhe yaad kar loon ya bhula doon
Ye dard hai kahan kahan jo dawa doon
Samjh lo to Pyaar karne ki raza hoon
Na samjho to dard sehne ki saza hoon
Pi lo to aankhon ka Nasha hoon
Ji lo to jeene ki wajah hoon
Haan ab Tumse mil kar bhi Juda hoon
Aur ab is baat par khud se hi Khafa hoon
Khush reh kar bhi gamon ka silsila hoon
Dard ji kar bhi khushiyon ka raabta hoon
Maan lo to bas quatra ho
Jaan lo to zindagi ka aashna hoon
Shabnam ki oas me lipta qahr hoon
Qainaat me jo na ghul paye wo zehr hoon
Teri khamoshi kehti h tera kasoor hoon
Jo alfaaz me na bayaan ho wo fitoor hoon
Aagaaz ko na dekh, ab to har pal anjaam hoon
Aaj Ishq mein tere kuch is tarah fanaa hoon

Wednesday, December 6, 2017

Married for 39 years, Together for lives

We know we love we know we fight. We make it up, we make it alright
We met as strangers from two different worlds, We invented the recipe to make lovely girls
Our very 1st date we lied at home, With you on my side I felt it was Rome
The good times we lived the bad times we killed, We rocked our life, with happiness filled
We held each other tight in sad and glad times, we always were willing to be partner in crimes
We stood the test of time,  we walked the narrow road
At the end of every day its you i want to hold


Dedicated to my loving parents


Afsaana-e-hastii

Aisi aashiqi thi ki tanhayi bhi ro de   J uda ho kar judaayi bhi ro de   Jahan aalam tha aagaaz-e-ulfat ka   Wahan barbaad ho kar khud...

Followers