Monday, January 8, 2018

Afsaana-e-hastii

Aisi aashiqi thi ki tanhayi bhi ro de 
Juda ho kar judaayi bhi ro de 
Jahan aalam tha aagaaz-e-ulfat ka 
Wahan barbaad ho kar khudayi bhi ro de  

Haan ek baar aazmaane ki koshish ki thi 
Par Adhoora reh gaya tera afsaana-e-hastii 
Kal afsos na ho teri nakaamyaabi pe 
Ki Ek Ajnabi se dil lagane ki jurrat ki thi  

Khushnuma sa ehsaas is dil mein rakhe 
Buland si ek awaaz hai jaagi 
Meri hassarat ki kya keemat lagaoge aaj 
Jab kar hi chuke meri hasti ki barbaadi 

Tabassum se sabar ko baandh rakha hai 
Kuch Saazish to teri chaahat ne ki thi 
Teri rukhsat bhi meri takhat hoti 
Aur har bharose ki tu buniyaad bhi 
Kitna haseen hota wo khayal 
Jo tu gayr bhi hota aur mera saaya bhi

Tuesday, January 2, 2018

Afsaana-e-hastii

Aisi aashiqi thi ki tanhayi bhi ro de   J uda ho kar judaayi bhi ro de   Jahan aalam tha aagaaz-e-ulfat ka   Wahan barbaad ho kar khud...

Followers