Saturday, December 9, 2017

Fanaa Hoon...

Tumhe yaad kar loon ya bhula doon
Ye dard hai kahan kahan jo dawa doon
Samjh lo to Pyaar karne ki raza hoon
Na samjho to dard sehne ki saza hoon
Pi lo to aankhon ka Nasha hoon
Ji lo to jeene ki wajah hoon
Haan ab Tumse mil kar bhi Juda hoon
Aur ab is baat par khud se hi Khafa hoon
Khush reh kar bhi gamon ka silsila hoon
Dard ji kar bhi khushiyon ka raabta hoon
Maan lo to bas quatra ho
Jaan lo to zindagi ka aashna hoon
Shabnam ki oas me lipta qahr hoon
Qainaat me jo na ghul paye wo zehr hoon
Teri khamoshi kehti h tera kasoor hoon
Jo alfaaz me na bayaan ho wo fitoor hoon
Aagaaz ko na dekh, ab to har pal anjaam hoon
Aaj Ishq mein tere kuch is tarah fanaa hoon

No comments:

Post a Comment

Afsaana-e-hastii

Aisi aashiqi thi ki tanhayi bhi ro de   J uda ho kar judaayi bhi ro de   Jahan aalam tha aagaaz-e-ulfat ka   Wahan barbaad ho kar khud...

Followers